aaye haath uthaaye hum bhii
hum jinhe rasm-e-dua yaad nahin
hum jinhe soz-e-mohabbat ke siwaa
koii but, koii Khudaa yaad nahin

ay arz guzare ki nigaar-e-hastii
zahar-e-imaroz mein shiiriinii-e-fardaa bhar de
wo jinhen tabe giraan baarii-e-ayyaam nahin
unkii palakon pe shab-o-roz ko halkaa kar de

jinakii aankhon ko ruKh-e-subh kaa yaara bhi nahin
unki raaton mein koi shamaa munawar kar de
jinkay qadamon ko kisi rah kaa sahaaraa bhi nahin
unki nazron pe koii raah ujaagar kar de

jin kaa din pairavii-e-kazbo-riyaa hai unko
himmat-e-kufr mile, jurat-e-tahaqiiq mile
jin key sar muntazir-e-taigh-e-jafaa hain un ko
dast-e-qatil ko jhatak dene kii taufiiq mile

ishq kaa sarr-e-nihaan jaan-tapaan hai jis se
aaj iqaraar karein aur tapish mit jaaye
harf-e-haq dil mein Khataktaa hai jo kantey kii tarah
aaj izhaar karein or Khalish mit jaaye
……..

(faiz Ahmed Faiz)